Posts

Showing posts from April, 2010

LOAD-SHEDDING (Pun intended)

Aaj andhera jach raha hai Aaansoo chhupaane ki jagah to hai. Chalo, bijli achhe din gayi Aaj rone laayak kucch hua to hai!

NEEND VERSUS ISHQ

Aaj kaun hai aankhon mein aisa Ke neendon ko aane ki jagah nahin? Aaj nahin aayegi aankhiyon mein Ye bhi to mujhse kahaa nahin! Door door tak takti ankhiyaan Rasta do pal neendon ka Ek peechhe jaa baitha sapna Kya hoga do ankhiyon ka? Aaj nahin dekhengi sapnein Ye bhi to mujhse kahaa nahin! Ishq aur neendon ka Jaisa gehra naata hai Unka chale jaana hi Ishqon ka aana kehlata hai Ab mujhe kabhi neend na aaye Pehle kabhi ye chaaha nahin!

HOLI

Is baar Holi farak si hai Meri aankhon ka rang teri aankhon sa hai Teri laali bhi mujhmein damakti hai Is baar Holi farak si hai Teri laali bhi mujhmein damakti hai Teri lagi ka nasha hai is bhaang mein Mujhse jo chaahe tu aaj maang le Hara neela peela laal gulaabi Mujhpe dikhe tera rang jo zara bhi To rang jaoon mein usi ke rang... Phir aadha rang tera ho jaaye Aur mera aadha rang Is baar Holi farak si hai Teri rangat mujhmein chamakti hai

MERI MAILI CHAADAR

Meri chaadar meri niyat se rangi Maili hui, main jaana nahin Yun bhi to hoga ki main apni Galti kabhi pehchaana nahin Meri chaadar meri niyat se rangi Maili hui, main jaana nahin Ek maila sa dil, maili mehfil Maili si justajoo Maile se phool, maile jaise dhool Maili si khushboo Mere pooja ke phool, maile huye Main chadaa aaya, main jaana nahin Maili chaadar si maili falak Ab Allah kahaan se jhaanke re Aur phir main poochhoon Allah se hi Tu mujhse door kyun bhaage re?

GEHRI DOSTI

Barson ki dosti zaruri nahin gehri dosti ke liye Ye to wo baat hui ki heera mil jaaye aur koi poochhta rahe “Khaan ki gehrai to naapo”

THEHRA PAANI

Ek aadat hai meri utarti nahin Sheesha dekhti rehti hoon Sab chale jaate hain baahar Aur khud se ruk kar kehti hoon ”Poora nahin thha kuchh Kuchh kam reh gaya aaj bhi Bhara nahin thha kuchh Kora reh gaya aaj bhi Kal se kuchh bhi badla nahin Kal jaisa thha aaj bhi”

EK KHAALI SA SAPNA

Bheegi ankhiyon ka khaali sapna Jaag gayi hoon, jaata nahin Andhere kamre mein andheri ankhiyaan Battiyaan bhi koi jalata nahin Jalti raat mein jalti ankhiyaan Kori aankhiyon ka sawaali sapna Poochti hoon, par batata nahin

TERI LAU

Raaste andhere Saare ujaale andhere Bhoora padh gaya suraj Jaane kahaan savere Jaanta hoon andhere mein teri neeyat kahin chhupi hogi Andhera ghana na pade to teri lau ki kadar bhi nahin hogi!!

TERA RAASTA

Tera wo nahin jo apna raasta banate chalta jaata hai Ye to har insaan ko aata hai Jo anjaani raahon mein, kaali raaton mein Tere naam pe badhta jaata hai Wohi tera kehlaata hai

SAB TERE HAWALE

Aaj nikaali hain dil se bahut si ranjishein Tera haath jo raha dil par, to aur nikal aayengi Tere hawaale ho jayengi Koi duvidha, koi dukh, koi pareshaani ho Kisi beeti dhadkan se aage na badhne ki thaani ho To teri ore badh jayengi Ye tere hawaale ho jayengi Band ho raahein, band ho aankhein, to tera nishaan aayega Band sa dil kholungi to, bharkar, tera jahaan aayega Sab teri roshni ho jayegi Tere hawaale ho jayengi

BABA TERI SHARAN AANA

Baba tere charan aana Mujhe teri sharan aana Raahon mein chalte ho khushboo Ya khushboo na ho, to ho tu Kahin phool kadam Kahin dhool kadam Mujhe tere kadam aana Mujhe teri sharan aana Jeevan teri ore kiya Dil ne na bas kuchh aur kiya Tu hi pita Tu hi pritam Mujhe tere dil aana Mujhe teri sharan aana

MAUT

Subah ka kohra aaj aankhon ko kora karne aaya hai Subah ka kohra aaj aankhon ko kora karne aaya hai Ruk jaaye ye din agar To saansein aage jaayein Subah ka ugta suraj aaj mujhe dubone aaya hai Kya likha hai is din jaane Kya kya hone aaya hai Subah ka jaagta mahaul aaj mujhe sulaane aaya hai

KRISHNA

Tu hi raah dikhaye Krishna, tu hi raah bhulaye Is raah raah mein khoya aadmi, kaun disha jaaye Tu hi raah mein phool bichhaye, tu hi kaatein banaye Phool phool pe chalta aadmi, kaanton pe aa jaaye To kaun disha jaaye Tu hi mujhko raas rachaye, tu hi paaon dukhaaye Jhoomta ghoomta deewana aadmi, khud se thokar khaaye To kaun disha jaaye Tu hi mujhko sapne dikhaye, tu hi neend udaye Gehri neend mein soya aadmi, achanak uth jaaye To kaun disha jaaye Tu har disha mein shaamil hai, yehi to meri mushkil hai Teri Leela ki ye raas to, mere samajh na aaye Mera shor jahaan chup ho jaaye, wahaan se teri mehfil hai Sukh bhi tera, aur dukh bhi tera Ab kaun disha jaaye