Posts

Showing posts from 2018

NOT LOOKING FORWARD

​ Suna hai 2018 sab khaak mein milaayega 2019 koi naya savera etc laayega Par naye aasmaa mein  akela paanchi Kya khaak udta  j aayega

Hello reader

ye jo aap padh rahe hain faqat blog nahin hai mera ye mere dil ki roshni hai aur dil ka ghana andhera

Raahi

Thak gaya hoon chalte chalte Magar raah ruk gayi to kya hoga? Dua bhi soojhti nahin koi Ke dua kubool hui to kya hoga?

BENAAM

Haan suna hai zamaaney se Ke marrta nahin hai ishq kabhi Par ye jo roz dum tod raha hai Uska kya naam dein abhi

MASROOF

Fursat ki dua qubool na hui Khair ye achhi baat rahi Ke fursat se ye dard nibhaana Mere bas ki baat nahin

FASAANE

ab tujhe bhi kya bataun, dafn-e-dard mera jo ek fasaana mera hai, to ek fasaana tera

WAHAM

waham hi hoga mera, jo reh gaya kahin haqiqat jo hoti, kya saath chodhti kabhi?

PAAK

'Gar paak banna hai yahaan Fakat itna hi kaafi hai Ya dard bhara aansoo de do Ya ishq mein dooba dil

BAQIYA

Jab  d ard uth ta hai chot sa, Aur jab dard utar bhi jaata hai, Ek baat akl mein  aati  nahin.   Sab khaali honey ke  b aad bhi, Ye  kharoch  k yun jaati nahin.

RIHAAEE

​ Kehte hain ki zindagi ke intehaan mein, Ek aisa waqt bhi aata hai. Dard itna bhaari ho jaata ha, Ke mehsoos nahin ho paata hai. Ab jo  karb-e-ehsaas nahin ho rahaa: s och raha hoon ki dard badd gaya hai? Ya rihaaee mil gayi hai mujhe?

CHHAAON

​ Hum to chalte gaye fiza dar fiza Karte gaye jo thhi unki razaa Chaaon to unko mili Jo pehle hi ruk gaye 

GUFTAGU

Tumse ye mulaqaat achhi lagi mujhe Guftagu chalti rahi Dard khaali hota gaya Magar saans dhalti rahi

DARD

​ Dard woh nahin jo tere bichadne pe hua mujhe Dard woh hai jo tere bina jeeney mein ho raha hai

DAFN

​ In parishaan saanson se achha thha Ki main dafn ho jaata waheen Ab in lambi aanhon se pooch raha hoon Thamne ki kya tareeq tay ki hai 

RAAS

​ Itna tamasha hua, itna swaang rachaaya Aandhi Chali zoron ki, itna shor machaya Jab thamm Gaya sab, woh bhoola ghar aaya To baahar khadi main soch rahi hoon, Is jaddo jehed main, maine kya paaya

​HIMMATANA

Himmat na maangna khuda se kabhi Woh jurrat teri aazmayega Khaakh bana dega tujhe Phir khaakh se tujhe banayega

UNCONDITIONAL LOVE

Ek din ek shaakh mere pairo pe ruki Fakhr se khadi par sajde mein jhuki Poochne lagi kabhi ki hai aisi ibaadat Jahaan tu nahin, teri aukaat nahin Bas woh hai, aur uski woh ek buri aadat

RAAHGUZAR

Musafir hoon, chalna imaan hai mera Imaandari ka sila mila hai kabhi?  Mujhe toh raah milti rahe fakat Kaafi hai mere chalney ke liye Aaram to khwaab mein bhi mil jaata hai Kabhi manzil mujhe mili hai kahin? 

PAHIYA

Jab waqt hi rukta nahin y ahaan kisi kaafir ke liye To insaan se ae naseeb tu  shikva bhi kya karey

HAR DAFAA

Phir ek baar, us mod pe aa gaya Jaahan maine deewaar giraayi hai Phir ek baar kuch kehne ko nahin Zindagi itni masroof banayi hai Phir ek baar, waqt guzar gaya Saans chalti rahi, tamanna jalti rahi Daastaan meri phir yahin tak aayi hai