Posts

Showing posts from April, 2018

BAQIYA

Jab  d ard uth ta hai chot sa, Aur jab dard utar bhi jaata hai, Ek baat akl mein  aati  nahin.   Sab khaali honey ke  b aad bhi, Ye  kharoch  k yun jaati nahin.

RIHAAEE

​ Kehte hain ki zindagi ke intehaan mein, Ek aisa waqt bhi aata hai. Dard itna bhaari ho jaata ha, Ke mehsoos nahin ho paata hai. Ab jo  karb-e-ehsaas nahin ho rahaa: s och raha hoon ki dard badd gaya hai? Ya rihaaee mil gayi hai mujhe?

CHHAAON

​ Hum to chalte gaye fiza dar fiza Karte gaye jo thhi unki razaa Chaaon to unko mili Jo pehle hi ruk gaye 

GUFTAGU

Tumse ye mulaqaat achhi lagi mujhe Guftagu chalti rahi Dard khaali hota gaya Magar saans dhalti rahi

DARD

​ Dard woh nahin jo tere bichadne pe hua mujhe Dard woh hai jo tere bina jeeney mein ho raha hai

DAFN

​ In parishaan saanson se achha thha Ki main dafn ho jaata waheen Ab in lambi aanhon se pooch raha hoon Thamne ki kya tareeq tay ki hai 

RAAS

​ Itna tamasha hua, itna swaang rachaaya Aandhi Chali zoron ki, itna shor machaya Jab thamm Gaya sab, woh bhoola ghar aaya To baahar khadi main soch rahi hoon, Is jaddo jehed main, maine kya paaya

​HIMMATANA

Himmat na maangna khuda se kabhi Woh jurrat teri aazmayega Khaakh bana dega tujhe Phir khaakh se tujhe banayega