Posts

Showing posts from 2009

GHOOM GHUMAD GHOOM

Ghoom ghoom ke, ghumad ghoom ke Mera tractor chalta jaaye Ghoom ghoom ke, ghumad ghoom ke Mann khada reh jaaye Jis se ghoom ke jaaye ye mann Laut ke phir wo aaye Aate aate ghoom jaaye jo Mann wahin phir jaaye Bhaan ho paseene ka Dum bhi nikla jaaye Par khet wahin, khalihaan wahin Mann atka reh jaaye Is ghoom ghoom mein pista hoon mein Chakka na ruk paaye Mujhse to mera tractor achha Badh ne ka sukh to paaye!

BAHANA

Ek boond bhar aai hai abhi Use nichod ke dekho to zaraa Kahin bharpoori ka koi ishaara to mile Ek saans bhar aai hai abhi Jaao hausla dhoond lao koi Kahin jeene ka koi bahana to mile

ROZ

Susti meri sach kahaan, fasana hai mehez Roz marra pisne ka bahana hai mehez Khudai ko chhoone ki himmat to nahin banti Dhoka banaye rakhne ko dil sanwaara hai mehez

GHAR AAO

Ghar aao to ek din dikhaoon tumhe Mere yahaan jamaat hai khushiyon ki Hawaa ki mehek khuli si hai Aur majlis jami rehti hai nooriyon ki Darwaaza khula hoga ghar ka, dil ka Gale milne aayenge ishq ke peghambar Sofa khushi se shaayad hi baithega Paani magar pila dega sayana filter Khidki se jo dekha, to umeed milegi Uske phoolon ki khushboo saath le jaana Saaf dil jaisi saaf diwaarein Unki saadgi ko apna pyaar de jaana Andar almaari kholi, to tauliya jhaankega Ghusal-khaana paani barsayega aap par Pairon ko palang mein sulaiyega To wo bhi sehlayenge ruk ruk kar Ghar mera khwab hai, khwab hi lagega aapko Jaagenge zindagi mein apni, to yaad aayega aapko Ki aisi bhi ek mehfil sajti hai kahin Ruhaniyat ka jashan aisa bhi hota hai Dhadkanein aise bhi jhoomti hai kahin Ishq apni duniya se aisa bhi hota hai Ghar aao to ek din dikhaoon tumhe Mere yahaan jamaat hai ishqiyon ki Hawaa ki mehek ishq si hai Aur majlis jami rehti hai aashiqon ki