GHAR AAO

Ghar aao to ek din dikhaoon tumhe
Mere yahaan jamaat hai khushiyon ki
Hawaa ki mehek khuli si hai
Aur majlis jami rehti hai nooriyon ki

Darwaaza khula hoga ghar ka, dil ka
Gale milne aayenge ishq ke peghambar
Sofa khushi se shaayad hi baithega
Paani magar pila dega sayana filter

Khidki se jo dekha, to umeed milegi
Uske phoolon ki khushboo saath le jaana
Saaf dil jaisi saaf diwaarein
Unki saadgi ko apna pyaar de jaana

Andar almaari kholi, to tauliya jhaankega
Ghusal-khaana paani barsayega aap par
Pairon ko palang mein sulaiyega
To wo bhi sehlayenge ruk ruk kar

Ghar mera khwab hai, khwab hi lagega aapko
Jaagenge zindagi mein apni, to yaad aayega aapko

Ki aisi bhi ek mehfil sajti hai kahin
Ruhaniyat ka jashan aisa bhi hota hai
Dhadkanein aise bhi jhoomti hai kahin
Ishq apni duniya se aisa bhi hota hai

Ghar aao to ek din dikhaoon tumhe
Mere yahaan jamaat hai ishqiyon ki
Hawaa ki mehek ishq si hai
Aur majlis jami rehti hai aashiqon ki

Comments

aapka ghar bahot khubsoorat hai....actually ghar se zyada kisi ka man khubsoorat hota hai........man khubsoorat ho to us ghar me baar baar jaane ki iksha hoti hai..man khubsoorat na ho to lakh khubsoorat hone pe bhi ghar jaane ki iksha nahi hoti... nice poem...
ghar bulane ke liye shukriyaa..........

Popular posts from this blog

ACHHA NAHIN LAGTA