ZINDAGI, SERIOUSLY

Aksar dekha hai zindagi
Karti hai apni si dillagi
Isiliye zindagi ki baatein
Hum seriously le nahin paate

Kabhi woh pyaara laga to
Socha ek aadh sapne saja lo
Lekin zindagi, jaane kahaan se
Pyaar se apni taang adhaa de
Isiliye zindagi ki baatein
Hum seriously le nahin paate

Ek raasta paas bulaaye
Mom-dad ko finally chhodke aaye
Magar zindagi headlights jalaake
Koi aur hi raaste dikha de
Isiliye zindagi ki baatein
Hum seriously le nahin paate

Jaana kahaan hai, ye zindagi
Ko yaar, hum poochenge nahin
Pooch ke bhi kya fayeda
Samajh to koi nahin payega
Isiliye zindagi ki baatein
Hum seriously le nahin paate

Comments

guptaghost said…
do pal ki, seriously!!!!

simply love these multi-lingual articulate verses. being a person who doesn't really understand much Hindi, each of these things are so clear, that itself is a testament to their beautiful simplicity.

me sharing this all over.

Popular posts from this blog

IBAADAT