Posts

Showing posts from August, 2010

HARSU

Faasle dar se tere kam to naa hue Dil ye deewana magar wahaan harsu aaya Fikre kasne mere kam to naa hue Haste mizhgaan mein magar ik aansoo aya Do dinon pehle to tum jawaan hue Do dinon mein kaafir hona tumhe khoob aaya Dil ye deewana magar wahaan harsu aaya Dil ko roz samjhaana befazool nikla Jahaan dil thha, wahaan roz ghiske koi naasoor aaya Dil ye deewana magar wahaan harsu aaya

ZINDAGI, SERIOUSLY

Aksar dekha hai zindagi Karti hai apni si dillagi Isiliye zindagi ki baatein Hum seriously le nahin paate Kabhi woh pyaara laga to Socha ek aadh sapne saja lo Lekin zindagi, jaane kahaan se Pyaar se apni taang adhaa de Isiliye zindagi ki baatein Hum seriously le nahin paate Ek raasta paas bulaaye Mom-dad ko finally chhodke aaye Magar zindagi headlights jalaake Koi aur hi raaste dikha de Isiliye zindagi ki baatein Hum seriously le nahin paate Jaana kahaan hai, ye zindagi Ko yaar, hum poochenge nahin Pooch ke bhi kya fayeda Samajh to koi nahin payega Isiliye zindagi ki baatein Hum seriously le nahin paate