DADDY VERSUS DAHEJ
Hamesha mere paas apni saheliyon se Ek odhni kam rahi Ek choodi kam rahi Bas dil mein khushi rahi Phir ek din dil khaali ho gaya Ab bahut der ho gai daddy! Ab kya karoon? Kahaan jaaoon? Yahaan meri jaan ki keemat nahin... Meri odhni ki keemat nahin, kuchh lal hai to paani hai Meri choodi ki keemat nahin, awaazein toofani hai Aapki pyaar bhari do baatein hain daddy, aur yaadein aani hain Magar chhoti abhi nahin samjhegi Ho sakey to, usey ek choodi aur dila dena Himmat karna, apni awaaz utha lena Us ghar na byaahna chhoti ko Ke jinki niyat dil se khoti ho Na keh dena daddy unko Kahin chhoti bhi aise door na chali jaaye To jab tak zinda hai, kyun na dard se khaali ho jaaye? This post is happy to be part of the ‘Men Say No’ Blogathon, an initiative by www.mustbol.in/team-blog. What’s this: 25 November to 10th December is the International 16 Days of Activism against Gender Violence, an international campaign that was started in 1991. The 16 Days run from November 25, International Day agai...