DADDY VERSUS DAHEJ

Hamesha mere paas apni saheliyon se
Ek odhni kam rahi
Ek choodi kam rahi
Bas dil mein khushi rahi

Phir ek din dil khaali ho gaya
Ab bahut der ho gai daddy! Ab kya karoon?
Kahaan jaaoon?
Yahaan meri jaan ki keemat nahin...
Meri odhni ki keemat nahin, kuchh lal hai to paani hai
Meri choodi ki keemat nahin, awaazein toofani hai
Aapki pyaar bhari do baatein hain daddy, aur yaadein aani hain

Magar chhoti abhi nahin samjhegi
Ho sakey to, usey ek choodi aur dila dena
Himmat karna, apni awaaz utha lena
Us ghar na byaahna chhoti ko
Ke jinki niyat dil se khoti ho

Na keh dena daddy unko

Kahin chhoti bhi aise door na chali jaaye
To jab tak zinda hai, kyun na dard se khaali ho jaaye?

This post is happy to be part of the ‘Men Say No’ Blogathon, an initiative by www.mustbol.in/team-blog. What’s this: 25 November to 10th December is the International 16 Days of Activism against Gender Violence, an international campaign that was started in 1991. The 16 Days run from November 25, International Day against Violence against Women to December 10, International Human Rights Day to symbolically link violence against women and human rights and to emphasise that such violence is a violation of human rights. Blogathon is running in solidarity with this global initiative. Read more entries to the Blogathon at www.mustbol.in/blogathon. Join further conversation on facebook.com/delhiyouth & twitter.com/mustbol.

Comments

Popular posts from this blog

ACHHA NAHIN LAGTA