HAR DAFAA

Phir ek baar, us mod pe aa gaya
Jaahan maine deewaar giraayi hai

Phir ek baar kuch kehne ko nahin
Zindagi itni masroof banayi hai

Phir ek baar, waqt guzar gaya
Saans chalti rahi, tamanna jalti rahi
Daastaan meri phir yahin tak aayi hai

Comments

Popular posts from this blog

ACHHA NAHIN LAGTA