Is kadar, diwaan-e-aam mein badnaam na karo jaan Kucch izzat yahaan humaari bhi hai Kucch apni jaan humein pyaari bhi hai Ishaaron se bhi ishq bayaan hote hain Nazron ke bhi teer-kamaan hote hain Ye parde agar pad lo, ye izhaar agar sun lo To wo bhi mohabbat-e-shaan hote hain Inayat karo jaan pe apni, Kucch to socho hum kya kahenge Tumhaari ada-e-deewaangi ke peeche Jawaab-e-jaan kya denge Ki “Arre Naaz, bataya nahin kabhi, ek mohabbat tumhaari bhi hai?” 14 th Feb 2008
meri ibaadat ne mujhe ek jahaan dikhaya ek se milaya, dooje ko dikhaya isne uthaya, usne giraaya kuch aise hi mujhe jeena sikhaya phir ibaadat ne mujhe ek aur jahaan sikhaya ke aankh jab khuli, to aaina dikhaya puri duniya mujh mey hi basi thhi mujhe ki mera sukoon banaya
Comments