KRISHNA

Tu hi raah dikhaye Krishna, tu hi raah bhulaye
Is raah raah mein khoya aadmi, kaun disha jaaye

Tu hi raah mein phool bichhaye, tu hi kaatein banaye
Phool phool pe chalta aadmi, kaanton pe aa jaaye
To kaun disha jaaye

Tu hi mujhko raas rachaye, tu hi paaon dukhaaye
Jhoomta ghoomta deewana aadmi, khud se thokar khaaye
To kaun disha jaaye

Tu hi mujhko sapne dikhaye, tu hi neend udaye
Gehri neend mein soya aadmi, achanak uth jaaye
To kaun disha jaaye

Tu har disha mein shaamil hai, yehi to meri mushkil hai
Teri Leela ki ye raas to, mere samajh na aaye

Mera shor jahaan chup ho jaaye, wahaan se teri mehfil hai
Sukh bhi tera, aur dukh bhi tera
Ab kaun disha jaaye

Comments

Popular posts from this blog

IBAADAT