NEEND VERSUS ISHQ

Aaj kaun hai aankhon mein aisa
Ke neendon ko aane ki jagah nahin?
Aaj nahin aayegi aankhiyon mein
Ye bhi to mujhse kahaa nahin!

Door door tak takti ankhiyaan
Rasta do pal neendon ka
Ek peechhe jaa baitha sapna
Kya hoga do ankhiyon ka?

Aaj nahin dekhengi sapnein
Ye bhi to mujhse kahaa nahin!

Ishq aur neendon ka
Jaisa gehra naata hai
Unka chale jaana hi
Ishqon ka aana kehlata hai

Ab mujhe kabhi neend na aaye
Pehle kabhi ye chaaha nahin!

Comments

guptaghost said…
iconic. simplistic yet eloquent. i love the relation the two protagonists share. not enemies, and yet, not quite friends.


keep up the awesomeness.

Popular posts from this blog

IBAADAT