Posts

Showing posts with the label heart

HAQUE (Greed)

Ek sawaal poochna thha tumse Dekho gar jawaab zehn mey aaye Mujhe kya haque hai koi Ke jab dil ka sarmaya mujhe mil jaaye Phir bhi kaheen ek baat ka sukoon na aaye Kisi nayi firaaq mey dil bhatkaaye Ek baar poocha thha to kahaa beinsaafi hai ye Ke khud dil ki dua, ab dil ko sataye! Ab chup hoon main, soch raha hoon Kya haque hai koi, ki dil ki baat ab dil ko bataye? 10 th Nov 2007

WAZAN

Khaali dil ki sadaa, goonjti bahut hai jaana Tere dil se takraake, waapas aati hai jaana Kehti hai tu mera to nahin, magar wahaan ek tukda kiska hai? Dil khaali pada hai jaana, lekin isme wazan kiska hai? 8th October 07