Posts

Showing posts with the label struggle

KHALAA

Ye kaisa zulm hai allah, bande pe tere? Tune kahaa dil paak kar aa Tab se har shay koshish karta hoon Shaffaaf banne ki Har shab mehnat karta hoon Kisi haasil ki ummeed se Ek ek kar taanaa bunta hoon Apni chaadar safed karne ko Phir kaheen dil ko sukoon aata hai Shayad ab kuchh aaram kar loon Tab talash kar tujhe Thoda rehem maangta hoon Par tu to sochta bhi nahin, kya guzregi muhjpar Bas ghoomke kehta hai Abhi baaki hai kuch kahin, tujh mein abhi bhi kuchh khalaa hai --- Tujhse bas itna keh doon mere allah Jaddoh-jehad bahut hai yahaan, aasan nahin hai Ke tera banaya har banda, insaan nahin hai 23 rd Oct 2007