DOSTI

Dosti dhoop si, kaheen bhi chamakti hai

Dosti baarish si, kisiko bhigo sakti hai




Koodti phirti rehti hai dosti

Kabhi dilon ke beech aati hai dosti

Ek anjaana sa karwaan hai

Idhar, udhar, ruk jaati hai jahaan hai




Kabhi phir pet gudgudaati hai

Pairon mey bhinbhinaati hai

Aankhon mey phadphadaati hai

Kaanon mey jhanjhanaati hai



Par dosti hamari hai

Humse pyaar karti hai

Hamare dil mey rehti hai

Ajnabi ko yaar karti hai




Dosti dhoop si, kaheen bhi chamakti hai

Dosti baarish si, kisiko bhigo sakti hai




Comments

sufiyana said…
thank you very much for your suggestion.pl do take a look at my blog.hope its better now.byeeeeeeee!!!!
sufiyana said…
was reading DOSTI ..... just a suggestion .............with a little play of words can be changed into a lovely ghazal ...I am no authority but ...ijazat ho to...
Anonymous said…
Bahot khub lagi Dosti mere Dost....simple but expressive composition!

Popular posts from this blog

IBAADAT