KHALAA

Ye kaisa zulm hai allah, bande pe tere?


Tune kahaa dil paak kar aa

Tab se har shay koshish karta hoon

Shaffaaf banne ki


Har shab mehnat karta hoon

Kisi haasil ki ummeed se


Ek ek kar taanaa bunta hoon

Apni chaadar safed karne ko


Phir kaheen dil ko sukoon aata hai

Shayad ab kuchh aaram kar loon


Tab talash kar tujhe

Thoda rehem maangta hoon


Par tu to sochta bhi nahin, kya guzregi muhjpar

Bas ghoomke kehta hai

Abhi baaki hai kuch kahin, tujh mein abhi bhi kuchh khalaa hai


--- Tujhse bas itna keh doon mere allah

Jaddoh-jehad bahut hai yahaan, aasan nahin hai

Ke tera banaya har banda, insaan nahin hai

23rd Oct 2007

Comments

Popular posts from this blog

PARDA

MUAAFI