AAHAT
Aaj mere khayaalon ka shor itna barpa hai
Ke tujh tak meri awaaz nahin pahunchti
Aaj mere dil mein darr itna hai
Ki mujh tak teri khudaai nahin pahunchti
Koi zor ki hook aate aate dab jaati hai
Aur ek saans mere andar nahin pahunchti
Hawa kaali si – andhera ghir jaata hai
Allah teri roshni bhi mujh tak nahin pahunchti
Darwaaze pe waqt ka deemak chadaa hai
Mere tode toot taa nahin
Wahaan tu haath pasaare khada hai
Yahaan kadam uthaye uthhta nahin
Ek pal, bas ek pal,
Ek pal ye shor-o-sannatta chup ho jaata
To mujhe kisi harkat ka yakeen to aata
Ki meri apni aahat mujh tak to pahunchti
Comments
Phir bhi faasle kam kyun nahin hote?
Woh kehte hain hum paas hain aapke jitni humari aahat,
Phir bhi unki talash mein sadiyaan beeta chale hum,par woh kyun nahin aate?
Aapke aahat ne hamare dil par ek aisi dastak di, ki hum aapke dil par yeh paigam liye aa pahunche hain! :-) Nice thot, babe!
Phir bhi yeh sarhadein kam hoti kyun nahin?
Woh kehte hain hum aapki aahat jitne kareeb hai,
Phir bhi yeh bechaini aankhon se jati kyun nahin?
Aapke aahat ne hamare dil par dastak aise di, ki hum majboor ho jaye aapki aahat ko tarashne ke liye!
Nice thot, babe! :-)