Sanam na chaahe magar, mohabbat to karega deewana Wo kaafir sahi, ya phir use ilm nahin Fakat uski ek nazar se, mere samaeen Tamaam ho jayega paagal, par zinda rahega uska shukraana 9th July 2008
Is kadar, diwaan-e-aam mein badnaam na karo jaan Kucch izzat yahaan humaari bhi hai Kucch apni jaan humein pyaari bhi hai Ishaaron se bhi ishq bayaan hote hain Nazron ke bhi teer-kamaan hote hain Ye parde agar pad lo, ye izhaar agar sun lo To wo bhi mohabbat-e-shaan hote hain Inayat karo jaan pe apni, Kucch to socho hum kya kahenge Tumhaari ada-e-deewaangi ke peeche Jawaab-e-jaan kya denge Ki “Arre Naaz, bataya nahin kabhi, ek mohabbat tumhaari bhi hai?” 14 th Feb 2008
Muaafi de maula, mujhe muaafi de Mera ahem choor kar, mujhe muaafi de Main to hoon tera aam sa banda Itna ahem mujhme aaye kyun Jinse mohabbat hai mere dil ko itni Unhe mera dil sataye kyun Ye sawaal-o-sakht, ye shuba har waqt Is gard se mujhe rihaai de Paak kar de mera rooh -e-aaina Meri rooh mujhe zaahir dikhai de Muaafi de maula, mujhe muaafi de Aankhon mein tu hi dikhai de Muaafi de maula, mujhe muaafi de Meri muaafi ki bas duhaai de 2nd July 2008
Comments