Ek lamha milne ko kam bhi na hota Na milte to shaayad gham bhi na hota Tera ilm na hota, gar raah mein guzarte Kabhi tu mera jaan-e-sanam bhi na hota Jaan mehfooz hoti, ishq bhi ho jaata Magar ishq-e-khudai mein woh dum bhi na hota Chhipi hogi kaheen talab teri koi Kabhi to jaan-o-dil tarsa hai aise Toot ke dil ne tamanna ki hogi Tabhi to toot ke barsa hai aise Toot gayi main, deewani hui Is aabshaar mein bheegi, toofani hui Abhr se tera rukh jo jhaanka Tere chehre pe main roohani hui Naseeba hai mera, ye mulaqaat teri Tere naam se hi ab hai aukaat meri Palak moond li hai, tu raat meri Tujhse hai savera-o- bisaat meri Le chale jahaan, wo baat teri Tanhai teri, jamaat teri Tera naam hi hai ek saugaat meri Tere naam se hi ab aukaat meri Tere naam se hi ab aukaat meri 1st July 2008