MERA JURM

Dastbardaari ka ilzaam hai sar pe

Sazaa bhi sakht sunai jaayegi

Aaj saji duniya ke aage

Meri khaali tasveer utaari jaayegi


Wo kaise bhatakta hua mila thha

Hosh kho diya thha masoom ne

Poochha to mera pata bataya

Lo! phir aa gaya mere saamne


Himmat nahin hai ki use dekhun

Nazron mey nazron dale

Kisi apne ko dastbardaar kiya ho

To wo kaise mujhe apna le?


Par saamne samaeen main baithe

Bahein khuli hain uski

Be-khauf wo mujhe dekh raha hai

Umeed baaki hai uski


Nahin, nahin, nahin


Nahin dena hai koi jawaab mujhe

Kisi jurm-e-wakeel ko

Nahin uchhaalni hai phir apni rooh

Bacha hi kya hai uchhaalne ko


Bas rehmat de ab, use faraar karoon

Main apne aashiyaane le jaoon

Main apni kamzori ka ghulam na rahoon

Main apna mujrim na ban jaoon


14th July 2008

Comments

Popular posts from this blog

PARDA

MUAAFI