PARDA
Is kadar, diwaan-e-aam mein badnaam na karo jaan
Kucch izzat yahaan humaari bhi hai
Kucch apni jaan humein pyaari bhi hai
Ishaaron se bhi ishq bayaan hote hain
Nazron ke bhi teer-kamaan hote hain
Ye parde agar pad lo, ye izhaar agar sun lo
To wo bhi mohabbat-e-shaan hote hain
Inayat karo jaan pe apni,
Kucch to socho hum kya kahenge
Tumhaari ada-e-deewaangi ke peeche
Jawaab-e-jaan kya denge
Ki “Arre Naaz, bataya nahin kabhi, ek mohabbat tumhaari bhi hai?”
14th Feb 2008
Comments
Please do continue writing in Urdu :D :D
Regards!