DEEWAR
Kaun kehta hai ki deewaron ke kaan hote hain?
Is kone se us kone tak, subah savere, aankh malte hue
Jab kharaasha thha unhe bachpan mein ek baar
To khoon nikla thha
Magar jaane meri marham-patti kyun hui
Kabhi chidkar unpar kitaab patki
To mujh par waapas de maari
Kabhi sar tek kar royi
To unhone aansoo bhi pochhe mere
Band kamre mein jab unse sawaal poochhe
To mann me kuchh zara sa jawaab aaya to thha
Is waqt bhi jab main ye peeth tek kar likh rahi hoon
Wo peechhe se sahara de rahi hain
Jaise vaade ki pakki koi saheli
Mere akelepan pe pehra de rahi hai
Paas aao to ek baat kahoon, badi pyaari saheli hai meri
Par zyada na kahun to achha hai
Kaan bade tez hain uske!
2006
Comments