KHEL KHEL MEIN

Kabhi khelte-khelte na jaane kya sach ho jaata hai…

Tab kaheen dil ko mohabbat pe yakeen aata hai


Yun to pehle se dil ko mohabbat ki aadat nahin

Kisi ke aane se magar, dil ye badal saa jaata hai

Tab kaheen dil ko mohabbat pe yakeen aata hai


Dil karta hai usko apna sab de dein

Par apna kya dein use, jab wo hi apna ho jaata hai

Tab kaheen dil ko mohabbat pe yakeen aata hai


Darr rehta to hai kuchh dil mein, thoda yakeen bhi

Par jab wo darr dil se khaali ho jaata hai

Tab kaheen dil ko mohabbat pe yakeen aata hai



Bekaraar rehta hai jo dil hamesha

Jab wo theher ke, kisi ka intezaar kar jaata hai

Tab kaheen dil ko mohabbat pe yakeen aata hai


Ek khayal mera hai, mera hi rehta hai

Lekin jab wo khayal tera bhi ho jaata hai

Tab kaheen dil ko mohabbat pe yakeen aata hai


Tab kaheen dil ko mohabbat pe yakeen aata hai

Comments

sufiyana said…
very nice ....hope you keep writing
V said…
waise toh hum mohabbat pe yakin nahin kerte
par jab aapki yeh poem padhte hain
Tab kaheen dil ko mohabbat pe yakeen aata hai!

awesum :)

Popular posts from this blog

PARDA

MUAAFI