ZIKR

Fir tere zikr ne mujhe parishaan kiya

Fir unhi be-dil sawalon ne hairaan kiya


Fir poocha ki tujhe gham na hua?

Tune kaise dil-e-naadan kiya?


“Saanson ke bina jee liya tu

Badi daleri ka kaam kiya"


Taqreeb-o-jashn pe bulakar,

Poocha kya guzri dil par?

“Hum toot jaate, jaan se door na reh paate "


---


Jaan, main door nahin - ye sochta nahin koi

Saansein jaa rahi hai - ye dekhta nahin koi


---


Ab kya kahoon use, ki tere sawaal na kare?

Maine hi jab khud ko tera aaina, jaan, kiya

25th November 2007

Comments

Anonymous said…
hmm... sounds real good.. difficult to understand :)

jokes apart..

its a pleasuse to knw sumone who can write like this..

hats off !

Popular posts from this blog

PARDA

MUAAFI